PAKABROAD RADIO !!!!!!LIVE!!!! BY ASHER

Sunday 15 April 2012

Mein apni sarzameen per maut dekhoon

Mere liye itna kaafi hai ke,

Mein apni sarzameen per maut dekhoon,

Aur yahin dafan hoon,

Aur is miti mein pighal kar phel jaaon,

Phir phool ki tarah zameen se bahar nikloon,

Mere des ke bache is ke sath khelein,

Mere liye itna hi kaafi hai

Ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,

Is tarah jese muthi bhar gard,

Bahaar ki ghaas ki tarah,

Aik phool ki maanin…

Talaash


itna bi apni zaat se koi juda na ho
nikle teri talaash mein apna pata na ho
dekho kay phir hawaon kay tevar badal gai
sahil ki rait par koi kuch likh raha na ho
tanhaian kuch is tarha basti hain mery saath
aakaas bi jesay shajar se juda na ho
na kar to mery jism kay zakhmon kay yoon hisab
ye deekh tery? haat main pathar bacha na ho
apno se bi miloon to ye khouf sa rahe
chehre ke peechay or koi chehra chupa na ho

Baba Bulley Shah


BABA BULLEY SHAH farmaya

Kalyan ishq kamna okha

Kisy nu yaar banana okha

Payar payar te har koi boly

Kar k payar nibhana okha

Har koi dokhaan te hass lenda ae

Kisi da darrd wandana okha

Galaan nal nai rutby mildy

Jogi bhes watana okha

Koi kisy di gaal nai sunda

Lokaan nu samjhana okha!!

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai..


Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai..

Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai?

Usne kaha kaun Tumhe hai bahut Azeez..

Maine kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai?

Usne kaha kaun sa Tohfa hai pasand..

Maine kaha Woh Sama jo ab tak Udhaar hai?

Usne kaha saath kahan tak Nibhaoge..

Maine kaha jitni ye Saanson ki Taar hai?

Usne kaha Mujh ko Yakeen aaye kis tarah..

Maine kaha Mera Naam hi Aitbaar hai?

Tera Libaas Hoon Main


Main Khush-Naseebi
Hoon Teri, Mujhy Raas
Hy Tu
Tera Libaas Hoon Main
Aur Mera Libaas hy Tu
Zindagi Meri Tere Gird
Ghoomti Hy Faqat
Aam Hy Sara Jahan
Mere Liye Ek Khaas Hy Tu
Ajeeb Shai Hy
Mohabbat Main Kahin
Chala Jao?n
Tere Qareeb Hoon Main
Meri Pyaas Hy Tu ? !!!

Aik aansu meri palkon pe numanyan


Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi
Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi
Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi
Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi
Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi
Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi
Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi
Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi
Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi
Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi

Bheegi hui ik shaam

Bheegi hui ik shaam ki dehleez pe baithe,

Main dil k sulagne ka sabab soch raha hun,

Duniya ki to aadat hai badal leti hai aankhein,

Main uske badalne ka sabab soch raha hun

Aa Mil Yaar, Saar Le Meri (BaBa Bully Shah)


Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri.

Andar khvaab vichoda hoya, khabar na paindi teri.

Sunni ban vich lutti saiyaan, chor shaang ne gheri.

Mullah qazi saahnu raah bataavan, dein dharam de pheri.

Eh taan thug ne jagg de jheevar, laavan jaal chuferi.

Karam sharaan de dharam bataavan, sangal paavan pairi,

Zaat mazhab eh ishk na puchhda, ishk shara da vairi.

Nadiyon paar mulak sajan da, lobh lehar ne gheri,

Satgur beddi phaddi khalote, taen kyun layi a deri.

Bulla shah shauh tennu milsi, dil nu deh dileri,

Preetam paas te tolna kisnu, bhulliyon sikhar dupehri.

Aa mil yaar saar le meri, meri jaan dukhaan ne gheri.

Phool Khila Kartay Thay

Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay

Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay

Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi

Dil Main Tufan Utha Kartay Thay

Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko

Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay

Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir

Ham Tera Naam Likha Kartay Thay

Kal Tujhay Daik Kar Yaad Aaya

Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay

Bas Tumhara hi naam likha karta tha

Humare Chale jaane ke Baad

Yeh Samandar Ki Ret Bhi

Tumse Pucha Karegii

Kahan Chala Gaya Woh Shaqs

Jo Tanhaii Main Aa kar

Bas Tumhara hi naam likha karta tha

Hijar ki Yaad Mai Sulgo to Bura lagta hai


Hijar ki Yaad Mai Sulgo to Bura lagta hai
Tum mere Pyar ko Tarso to Bura lagta hai
Ek Tamanna hai faqat, Mujh per Mehrban raho Tum
Kisi aur ko dekho to Bura lagta hai
Meri Rooh tarasti hia Khushboo ki Teri
Tum kahin aur ja ker Mehko to Bura lagta hai
Aarzoo hai Mai Tumhein her pal Paas hi dekhoon
Tum Mere paas se utho to Bura lagta hai
Mai utha sakta hoon jab Naaz Tumharey
Tum agar Naaz nahi karti to Bura lagta hai

Hoon to khafa us se, Per janay phir bhi kyon


Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn…?
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…
Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata…
Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…
Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga…
Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai….!!

Wo jo badla to

Wo Jo Badla Tu Roobroo Hum Bhi Badal Gy

Wafa Ki The Us Se Bandgi Tu Nahi

Zindgi Tu Faqt U He Kut Jay Ge,

Hasrt-E-Zindgi Tha Wo

Shart-E-Zindgi Tu Nahi..

Wo bachpane ki nend to abb khawab ho gai

Wo bachpane ki nend to abb khawab ho gai,

Kia umer thi k raat hoi aur so gae.

Hazar rang bhare zindagi k khake me

Hazar rang bhare zindagi k khake me,

Tere baghair ye tasveer na mukamal hai.

Ye door wo hai k bethe raho charagh tale

Ye door wo hai k bethe raho charagh tale,

Sabhi ko bazam me daikho magar dikhai na de.

Hum teri aarzoo main jeete hain

Hum teri aarzoo main jeetey hainYe nahi hai tu zindagi nahi…:-(

Samandar k safar mei i$ tarha awaz dain humkø

Samandar k safar mei i$ tarha awaz dain humkøhawain tez ho or kashteyon mei shaam ho jainujaly apnî yadon k hmare saat rehne dainnajane ki$ gali mei Zindgi ki §haaM Ho jain

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai…

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai…Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai…Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai…Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai..!!!

Wohi Kaarwaan, Wohi Raastay, Wohi Zindagi, Wohi Marhalay

Wohi Kaarwaan, Wohi Raastay, Wohi Zindagi, Wohi Marhalay -Magar Apne Maqaam Par Kabhi Tum Nah!n Kabhi Hum Nah!n..

Mere Paon Ki Zanjeer Hai Zindagi

Mere Paon Ki Zanjeer Hai Zindagi !Saans Be-Rabt Jhankaar Hai Aur Kia ?

Theharny bhi nai deta hy apny dil mai muje

Theharny bhi nai deta hy apny dil mai mujemohabten bhi meri dil badar nai karta

Main tu bik Jaon teray naam Pe

Main tu bik Jaon teray naam Pe mout ki tarha wasi,Tou kabi kharidar tu ban ke aa zindagi ke Bazar main!

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha

Teri arzoo main humne Baharon ko dekha,Teri justaju main humne Sitaron ko dekha,Nahi mila tum se badhkar in nigahon ko koi,Humne jiske liye hazaron ko dekha..

Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se

Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se,Tumhe maloom ho jaye ga rona kis ko kehte hain…

Na Tadapta Dil, Na Roti Aankhein..


Na Tadapta Dil, Na Roti Aankhein,
Na Labon Pe Naam koi aur Hota,
Ham Teri Tamanna hi kyon karte,
Agar Tere Jaisa koi aur Hota…

Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko


Tere Sang bitaya hua har lamha yaad ata hai mujhko,
Chale aao ke yeh hijr ki raatain bohat rulaati hain mujhko,
Tere aashiyane ko jaana, hum bhala kese aajaye,
Tere sheher ke log bohat satate hain mujhko,
Tu chahe kitna hi chupaa le, Mein phir bhi janta hoon,
Teri soch har mehwar yaad karta hai mujhko,
Khud mein jhaankta hoon tou yeh khayal ata hai,
Bin tere jeena bhi muhaal lagta hai mujhko,
Mein andheron ki nagri ka kamzor sa musafir,
Ab ujaalon ki musaaftain kahan raas ati hain mujhko,
Tere deed ki pyaas hi ab taskeen deti hai,
Teri miti huyi arzuyain hi chain deti hain mujhko,
Ae Husnain tamasha dekhne wale koi kam tou na they,
Ruswayiyon ke soghaat diye tere apnon ne mujhko..

Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi


Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi
Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi
Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi
Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi
Hue uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
Toh na janay kon c cheez ki meri zindgi mein kami rahi?????????

Yad karke mujhe taklif he hoti hogi


Yad karke mujhe taklif he hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko.
Doobte doobte awaz teri sun jaun.
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko.
Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin.
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko.
Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah.
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko.
Roothna tera meri jaan lie jata hai.
Aese naraz na ho haske dikhade mujhko.
Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse.
Uski galion main pari khak banade mujhko.
Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai.
Main bhi is ishq mani aya hun, dua de mujhko.
Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main.
Koi kamzor sa lamha hun. bhulade mujhko.

Bht Nazdeek Ho Ke Bhi Wo Itna Door Hai

Bohat Nazdeek Ho Ke Bhi Wo Itna Door Hai Mujhse,Ishara Ho NahI Sakta, Pukaara Ja Nahi Sakta….!!

Hazaroon Daastanein Hain Heer Ki

Hazaroon Daastanein Hain, Heer, Laila, Sheerin Ki,Tum Apne Sath Mujh Ko Bhi Ek Esi Daastan Kr Do….!!!

Seekh liya hum nay bhi tark-e-Taluq kerna


Seekh liya hum nay bhi tark-e-Taluq kerna,

Mohabbat dety dety hum ny apni Qadar kho di!!

Kis Ne Yahaan Qadam Rakha Tha

Shab Kis Ne Yahaan Qadam Rakha Tha ?
Dehleez Chamak Rahee Hai Ab Tak..!

Zindagi bhi chheen li

Is tarah loot liya sheer-e-tamanna ne hume,
Zindagi bhi chheen li, or jaan se maara bhi nahi.!!