PAKABROAD RADIO !!!!!!LIVE!!!! BY ASHER

Thursday 26 April 2012

Bheer main chaaron taraf chehre anjane mile


Bheer main chaaron taraf chehre anjane mile
Mere apne aaj mujh se ban ke begane mile
Tha bharosa doston par itna ke mujh se na pooch
Jin ke hathon main they pathar log pehchane mile
Ban ke marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko
Jesey jese waqt beeta zakham purane mile
Kis ke aagay rotay or sunate apni dastaan
Basti thi ujri hui sunsaan thikane mile
Ab na maangen ge Illahi zindagi ki bheekh hum
Ishq main shamma ki yeh kehte hue parwane mile
Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko
Chund tootay dil ke tukray unko nazrane mile
Maazi ki yaad main sab doobay hue thay is qadar
Khawab tere shehar ke sab log deewane mile

Hay Ajeeb Dil Ki Haalat


Hay ajeeb dil ke halat her shay hoe paraaie
Meray dil main busnay walay teri yad phir say aaye
Tujhay dhoondti hain nazrain tujhay kis jaga main paon
Bardi lumbi ye judaie tou nay bay subub banaie
Parday saaray rung pheekay teri baywafaiyon say
Main jahan jahan say guzra hoe meri jug hunsaie
Meri preet tou nay looti mera chain tou nay cheena
Tujhay raas kyun na aaie barson ke aashnaie
Tujhay aasman bunaya main nay apni zindagi ka
Mujhay kya pata tha hogi teray dil main baywafaie
Jo saza main nay daidi teri aarzo main khud ko
Meray khawb saaray tootay mujhay niend tak na aaie
Main jal k raakh gar hon tou nehi hay iska zaamin
Mujhay jug nay mar dala main nay aag khud lagaie
Ye bharam bhe aaj toota teri dosti ka asher
Tou nay khud he ke mohabat tau saza bhe tou nay paaie

Mehfil Bani Rahi Yuhi Tumhari

Mehfil Bani Rahi Yuhi Tumhari

Chahe Bikhar Jaye Ye Zindagi Hamari


Deewangi Is Qadar Barh Gayi Hai


K Seh Na Paye Ek Pal Judai Tumhari

Hum Ne Chaha Bohat

Hum Ne Chaha Bohat Per Izhar Kar Na Sake

Kat Gai Umar Per Pyar Kar Na Sake


Usne Mangi Bhi To Humse Judai Mangi


Aur Hum The Ke Inkar Kar Na Sake

Khona Nahi Chatay

Aap Ko Paa Kar Ab Khona Nahi Chatay

Itna Khush Ho Kar Ab Rona Nahi Chatay


Yeah Aalam Hai Humara Aap Ki Judai Main


Aankhoon Main Hai Neend Per Sona Nahi Chatay

Dekho Aawaz Dekar

Dekho Aawaz Dekar, Paas Hamme Paoge

Aaoge Tanha Par Tanha Na Jaoge


Dur Rahkar Bhi Tumhi Par Hai Nazar Meri


Hathon Se Tham Lenge Jab Bhi Thokar Khaoge

joo ajj muj se bichar kar bare sakoon me hain

joo ajj muj se bichar kar bare sakoon me hain,

Kabhi wo shakhs mere waste azab me tha.

Justajo jis ki thi us ko to na paeya hum ne

Justajo jis ki thi us ko to na paeya hum ne,

Iss bahane se magar daikh li dunia hum ne.

Qurb K Na Wafa K Hote Hain


Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Dhalte saeon me tere kochee se

Dhalte saeon me tere kochee se,

Koi guzra ha barha tanha.

Meri Khwahishen


Khawahishon k angan mein raat din baseray thy…
Titliyan tmhari thien or phool mere thy…
Chand asmanon se jb zameen pe utra tha…
Daikhnay mein raatain thien asal mein saweray thy…
Tere pass basnay ki khai thi kasam leikin…
Shehar bhi praya tha loog bhi luteray thy…
Lut gaye hm dono to qasoor kis ka hy…
Khawahishen bhi teri thien faislay bhi tere thy..

Tumhara pyaar meray char soo


Tumhara pyaar meray char soo abhi tq hy
Koi hisaar meray char soo abhi tq hy
Bicharty waqt jo tm saunp k gaye thy mujhy
Wo intizar meray char soo abhi tq hy
May ab bhi girty huye paniyon ki qaid may hon
Ik aabshar meray char soo abhi tq hy
Koi gumaan mujhy tm sy door kaisy karay
K aitbaar meray char soo abhi tq hy

Mohabbat Hum Se Kerni Hy


Mohabbat Hum Se Kerni Hy
Tou Phr Wada Nhi Krna
Ye Waady Hum Ne Dekhy Hyn
k Aksar Tuut Jaty Hyn
Mohabbat Hum Se Krni Hy
Tou Phir Zid Bhi Nhi Krna
Ye Zid Bhi Hum Ne Dekhi Hy
K Saathi Chooth Jaty Hyn
Mohabbat Hum Se Krni Hy
Tou Phir Tohfa Nahi Dena
Ye Tohfey Hum Ne Dekhy Hyn
Bohat Majbuur Kerty Hyn
Mohabbat Hum Se Krni Hy
Tou Shikwa Nhi Krna
Ye Shikwy Hum Ne Dekhy Hyn
Dilo?n Ko Duur Krte Hyn ?

Muhabton me azeyat shanas kitni the

Muhabton me azeyat shanas kitni the,

Bechartet waq ye ankhen udas kitni thy,


bechr k tuj se kis tor dil behal na saka,


nishania bi teri mere paS kitni tay..

Lagta hai kisi ki mohabbat me phir judaai

Aaj phir aasmaan siskiyaa’n le le kar ro raha hai,


Lagta hai kisi ki mohabbat me phir judaai ka mod aaya hai….

Din Museebat Ke Tal Gaye Hotay


Din Museebat Ke Tal Gaye Hotay
Apna Rasta Badal Gaye Hotay
Dil Ki Wehshat Ne Barh Ke Ghair Lya
Warna Aagay Nikal Gaye Hotay
Tere Gham Ne Qadam Ukhair Dye
Warna Kab Ke Sambhal Gaye Hotay
Tum Ne Loogon Ko Kiun Tawajja Di
Apne Hee Aap Jal Gaye Hotay
Shukar Hai Hum Nahi Hain Din Warna
Shaam Ke Waqt Dhal Gaye Hotay

Roshni Chahye Sabaa Ke Lye


Roshni Chahye Sabaa Ke Lye
Phool Roshan Karo Khuda Ke Lye
Osko Itna Bhee Meherbaan Na Kaho
Hum Taras Jaayein Ge Wafaa Ke Lye
Ishq Ki Intehaa Kisay Maaloom
Jaan Kaafi Hai Ibtedaa Ke Lye
Be-Gunaahi Jo Shart Tehri Hai
Hum Ko Chun Lijiye Sazaa Ke Lye
Parsaai Hai Buzdili Ka Naam
Honsla Chahye Khataa Ke Lye
Har Kisi Per Qateel Kiun Aata Hai
Dil Tha Sirf Ik Dil-Ruba Ke Lye

Mujh Se Pathar Ye Keh Kar Bachne Lage

Mujh Se Pathar Ye Keh Kar Bachne Lage.

Tum Na Sambhlo Ge Thokaren Kha Kar